Submitted by fahmi anant (not verified) on Sat, 07/03/2010 - 12:12.
mere sarkar ke dar ke jo gada hote hai.n
wo tho shahan e jaha.n se bhi siva hote hai.n
un ke darbar se bat thi hai hamesha khairat
takht aur taj bhi mange.n tho atha hote hai.n
thaj wale bhi tarasthe hai.n magar us dar se
dil ki thaskin ke saman atha hote hai.n
wo murassa dar o diwar sunehri tazyin
ain nazzara e firdos numa hote hai.n
roza o mimbar o mehrab o riyazul jannah
un muqamath pe hajath rawa hote hai.n
dabdaba masjid e nabavi ke suku.n ka FAHMI
hosh walo.n ke bhi ausan khatha hote hai.n
na't sharif

Post new comment