Ham sahafi hain ham sach nahi boltey

A video went viral on social media in which the parody of Suroor Barabankvi’s poem ‘Ham to shayar hain ham sach nahi boltey’ was recited.

It is a beautiful satire depicting the journalists of today, who do not speak truth due to fear of persons in power. They are opportunists, who are ready to sell their words in the market of falsehood. When the public is eager to know the truth, they seal their lips.

The parody goes thus:

Ham sahafi hain ham sach nahi boltey

Jane jaan sach pe kyun itna israr hai

Sach ki azmat se kab ham ko inkaar hai

Ham sahafi hain aakhir usi qaum ke

Jiska har fard bikne pe tayyar hai

Ham hain lafzaun ke taajir ye bazaar hai

Sach to ye hai guzartey huwe waqt se

Faeda jo uthale wo fankar hai

Ham na Suqrat hain ham na Mansoor hain

Ham se sach ki tawaqqo hi bekaar hai

Tez talwaar se, waqt ki dhaar hai

Isliye jaane jaan apni tahreer se, quafe tazeer se

Sachche moti kabhi ham nahi rooltey

Ham sahafi hain ham sach nahi boltey

Fasl aati hai jab hifz-e-pindaar ki

Sach ke izhaar ki

Ham haqaeq se nazrein churaye huwe

Maslihat ka janaza uthaye huwe

Sar jhukaye huwe

Laut jaate hain maazi ke sahraaun me

Baith kar gham-e-zaat ki chhaun me

Sochtey bhi nahi, bolte bhi nahi

Sehme sehme huwe log milte hon jab

Har taraf qauf ke phool khiltey hon jab

Jaane jaan kam se kam aisey mausam me ham

Harf-e-haq to kuja, lab nahi kholtey

Ham sahafi hain ham sach nahi boltey