Imran Pratapgarhi emotionally invokes God to end coronavirus

Taking a cue from the poet of the east Allama Iqbal, revolutionary poet Imran Pratapgarhi recites a dua on the lines of Allama Iqbal’s famous ‘duayia nazm’ (prayer poem) ‘Bachhe ki dua’ using the first verse ‘Lab pe aati hai dua’ in his own prayer invoking God to end the coronavirus pandemic.

YouTube video

Making a fervent appeal to God, Imran says listening to the news about the dead bodies piling everywhere, his heart is breaking and he is losing breath.  He says since His servants didn’t listen to His Commands, God has sent this pandemic. Then the poet pleads to God to give shifa (recovery) to the sinners.  

Imran is sure that if He wants, by casting an eye of Mercy, God can set everything right in a jiffy. Calling the God the baghbaan (gardener) of the world, he requests God to protect the garden (world), every flower (men) and bulbul (women) of the world.

The lyrics of the poem:

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri

Sun le to aaj ye faryad khudaya meri

Tootta jaata hai dil, saans thaher jaati hai

Har taraf laashaun ke uthne ki khabar aati hai

Ahle duniya nay teri baat nahi maani hai

Tu hai naraaz to veerani hi veerani hai

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri

Sun le to aaj ye faryad khudaya meri

Wo bala aayi, wo aafat, wo musibat aayi

Saare aalam ko bachane ki zaroorat aayi

Tu agar chaahe to har baat ko behtar karde

Eik nazar daal ke halaat ko behtar karde

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri

Sun le to aaj ye faryad khudaya meri

Har taraf sirf andhera nahi dekha jaata

Roz is darr mein izafa nahi dekha jaata

Tu jo chaahe to bura waqt bhi tal jaega

Raat ki kokh se suraj bhi nikal jaega

Pyar ki, amn ki, himmat ki dawa de Maula

Ham gunhagaaraun ko thodi to shifa de Maula

BaghbaaN apne har eik gul ki hifazat karna

Har ghadi baagh ki bulbul ki hifazat karna

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri

Sun le to aaj ye faryad khudaya meri